Aadhar card bank Se Kaise link Kare?
Aadhar card bank Se Kaise link Kare?
Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare is post Mein Dosto aaj
ki post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hain. “Aadhar card bank Se Kaise link
kare” agar aap bhi apna Aadhar card bank se link karna chahte hain to aap
bilkul sahi article padh rahe hain.
Aadhar card bank se link karne ke liye is article ko Shuru
Se Lekar end Tak pura padhe taki aapko har Jankari acche se samajh Aaye.
Ummid karte hain Aapko Hamari Sabhi post Pasand aa rahi Hogi
aur Usi Tarah Se Hamari Sabhi post ko Pasand Karte Rahe.
Is digital Duniya Mein Aadhar Card ko bahut hi jyada mahatva
Diya Gaya Hai Har kaam karne ke liye Aadhar Card Jaruri Hota Hai. mobile number
ko Aadhar Card se link karwana PAN card ko Aadhar Card se link karwana se bhi
Mein Aadhar Card ka use Kiya jata hai.
Government Ne ab bank account ko Aadhar Card link karwana
compulsory kar diya hai. Agar aapne Apna Aadhar number Apne bank account se
link nahi kiya hai to Aapka account kabhi bhi band ho sakta hai.
Agar aap bhi Apne bank account se Aadhar Card link karna
chahte hain aur aap ko nahi pata ki Aadhar ko Bank Se Kaise link Kare to is
post ko Shuru Se Lekar end Tak Pade.
Aadhar card bank se link kaise kare
Apne bank account ko Aadhar Card link karne ke liye Neeche
Bataye Gaye process ko follow Karen.
Sms ke dwara bank account ko Aadhar link Karen
Apne bank account register mobile number se a SMS Karke aap
apna Aadhar link kar sakte hain.
Uske liye Neeche Bataye Gaye process ko follow Karen.
UID space Aadhaar number space account number.
Uske bad eyes 567676 number par send Karen.
Aapko Kuch Hi second Main message aa jayega agar aap ka
mobile number link Nahi Hai To bhi aapko message aayega.
Internet banking se a bank account ko Aadhar link Kare
Internet banking se bank account ko Aadhar se link karne ke
liye sabse pahle aap use Bank ki official website par Jis Par aap Aadhar link
karna chahte hain.
Uske baad aap Internet Banking login Karen.
Uske baad aapko left side mein my account Dikhai Dega use
par click Karen.
Uske baad Neeche ki side aapko Link your Aadhaar number
Dikhai Dega use per click Karen.
Uske baad aap ko right side mein Aadhar registration Mein
sari details dalni Hogi.
Uske baad transaction account mein Apna account select
Karen.
Aadhaar number main Apna Aadhar number dale.
Aur submit button per click Karen.
Aadhar bank se link hai kaise Pata Kare
Internet dwara Aadhar Card link hai ya nahi pata kare.
Sabse pahle aap UIDAI official website Par Jaye.
Uske baad Aadhar mein sabse Neeche check Aadhaar and bank
account link status par click Karen.
Click karne par aap use page par chale jayenge Yahan aap ko
apni Aadhar details dekhni hai Apna Aadhar card number daale.
Fir uske baad security code Dale uske baad aap ki screen par
send OTP ka option Dikhai Dega is par click Karen.
Uske baad aap ke register mobile number Par Ek OTP aayega
usko enter OTP option par likhna Hoga uske baad Aap Ke Samne bank details aur
Aadhar details aa Jayegi aur aap ko pata chal jayega Aadhar bank se link hai
yaar Nahin.
Sms ke dwara Aadhar Card link hai ya nahin Pata Karen
Aap ko sabse pahle apne mobile ka dialler open Karen aur
*99*99# dial karen.
Uske baad sabse pahle Aadhaar linking ka ek option aayega
Neeche 1 type Karen aur send kar de.
Uske baad Apna Aadhar number likhe aur send Karen.
Uske baad confirm karne ka option aayega aap ka Aadhar
number sahi hai ya nahi isliye check Karke Ek type Karen send kar de.
Uske baad aapko notification Mil Jayega ki aap ka Aadhar
card bank se link hai ya nahi.
To Is Tarah Se Badi aasani se aap apna Aadhar card bank
account se link hai ya nahi check kar sakte hain.
Is article Mein Humne Dekha “Aadhar card bank se link
kaise kare” Agar aapka koi Sawal hai to aap Hamein Neeche comment box Mein
comment Karke Jarur Bataye.
Is article ko aap apne doston ke sath social media par share
kar sakte hain Taki yeh Jankari unko bhi pata chal sake. aapko yeah article
kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein comment Karke Jarur Bataye.
Agar aap Hamari website ke updates Pana Chahte Hain To aap
Hamari website "onlinehelp2019" ko subscribe ya follow kar
sakte hain. Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.
Aadhar card bank Se Kaise link Kare?
Reviewed by JALINDAR ALHAT
on
April 11, 2019
Rating: