Google Tez App kya hai? Google Tez App par account kaise banaye?
Google Tez App kya hai? Google Tez App par account kaise banaye?
Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare is post Mein dosto aaj
ki is post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hain. “Google Tez app kya hai”
aur “Google Tez app par account kaise banaye” agar aap hi Google Tez app
ke bare mein Jankari Janna Chahte Hain To aap bilkul sahi post par rahe hain.
is digital Duniya Mein Har Koi digital Banna Chahta Hai Har
Koi Ghar Baithe online internet ki madad se shopping Karta Hai. mobile se money
transfer Karta Hai mobile recharge bhi karta hai internet ki madad se Ham bahut
Sare kaam ghar Baithe kar sakte hain. sab se important kam hota hai money
transfer o bhi hum internet ki madad se kar sakte hain.
Hum online transaction jaise ki money transfer mobile
recharge bill pay aur bahut sari cheeje karne ke liye bahut se mobile
application use karte hain. Magar aaj ke Samay Hum Har Kisi Par Bharosa nahi
kar sakte Kyunki bahut Sare app fake bhi Hote Hain Jise use Karke Hume bahut
sara nuksaan bhi ho sakta hai.
Lekin Aaj hum aapko Ek Aisi app ke bare mein batayenge Jise
aap secure payment transfer kar sakte hain ji ha Dosto Ham Google Tez app ke
bare mein baat kar rahe hain.
Google Tez App launch hone ke Kuch Din Baad bahut hi popular
Ho Gaya ise bahut Sare logo Ne Pasand kiya hai aur yah bahut hai secure app hai
is aap ki madad se aap online transaction kar sakte hain.
Google Tez App kya hai
Google Tez app yeh Google ke dwara Banai Gai Ek digital
payment app Hai is App Ki madad se aap online payment, mobile recharge, DTH DTH
recharge Aur Bhi bahut se kaam is application ki madad se online kar sakte
hain.
Google Tez app main aapka bank account Joda jata hai aur Tej
aap bahut secure app hai. Google tez App Ki madad se aap kisi ko bhi kisi bhi
Samay online paise transfer kar sakte hain.
Ab aap Yahi soch rahe Honge ki Google Tez App se money
transfer limit kya hai aur Tej App se money transfer karne ke liye Kitna
charges lagta hai ya nahi lagta.
Jaise ki Humne shuruaat Mein bataya tha Tej app secure app
hai aur Google Tez app money transfer limit 1 lakh per day hai aur iski Sathi
Tej app money transfer charges bhi nahin Leta.
Yeah app bohut popular app Ban chuki hai agar aap Tej app ka
use karne ki soch rahe hain to aapko Tej app par account banana hoga yadi aap
Nahi Jante ki Tej app par account kaise banaye To Neeche Bataye Gaye process ko
follow Karen.
Google Tez app par account kaise banaye
Google Tez app par account banane ke liye aapke paas
smartphone aur internet connection Hona jaruri hai.
Sabse pahle aap ko Play Store par chala jana hai aur wahan
par search karna hai Tej app aur Wahan Se download karke Install kar lena hai.
Uske baad aap apni Manpasand Bhasha Chun sakte hain aur next
per click Karen.
Uske baad aapko apna mobile number dalna hoga jo aapke bank
account mein register Ho. Uske baad next par click Karen.
Uske baad aapko apni Gmail ID Dali Hogi agar aap ke
smartphone Mein Gmail ID Pahle Se login hai to atomatic Dikhai Jayegi Uske bad
continue per click Karen.
Uske baad aap ke mobile par Ek OTP aayega Uske baad hai
automatic aapka OTP verify hone lagega.
Uske baad aapko security ke liye ek Lock select karna hoga.
To Is Tarah Se Badi aasani se aap Google Tez app par account
bana sakte hain.
Is article Mein Humne Dekha “Google Tez App kya hai”
aur “Google Tez app par account kaise banaye” Agar aapka is post se
related Koi Sawal hai to aap Hamein Neeche comment box Mein Jarur Puche.
Is article ko aap apne doston ke sath social media par share
kar sakte hain taki yeh jankari unko bhi pata chal sake. aapko yeah article
kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein Jarur Bataye.
Agar aap Hamari website ke updates Pana Chahte Hain To aap
Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain
Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.
Google Tez App kya hai? Google Tez App par account kaise banaye?
Reviewed by JALINDAR ALHAT
on
April 03, 2019
Rating: