Android game kaise banate hain? Android game banane ka tarika?
Android game kaise banate hain? Android game banane ka tarika?
Hello Dosto Swagat hai aapka Hamari is post Mein Dosto Aaj
ki is post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hain. “Android game kaise banate hai”
agar aap bhi Android game banana Chahte Hain To aap bilkul sahi post padh rahe
hain.
Android game kaise banaye Uske bare Mein Sabhi Jankari pane
ke liye is post ko Shuru Se Lekar end Tak pura pade taki aapko har Jankari
achhe se Samajh Aaye.
Internet ke is Yug mein Har vyakti ke paas Android phone hai
aur Har vyakti Google Play Store se bahut Sare game download karta hai Android
game khelna bacchon ko bahut pasand hota hai aur kaafi Sare games aaj kal Kafi
tread mein chal rahe hain agar aap bhi apna Android game banana Chahte Hain to
hum aapko Uske bare mein Puri Jankari Denge.
Android game banana bahut Aasan Nahi Hota Kyunki Android
game banane ke liye aapko programming aur designing aani jaruri hai lekin kuch
website aur software Aise Hain Jo Ki Aisa platform provide Karte Hain Jis ki
madad se aap aasani se khud ka game develop kar sakte hain. agar aap khud ki
game banana Chahte Hain To is post ko Shuru Se Lekar end Tak Pura padhe.
Game kaise banaye?
Agar aap apna khud ka Android game banana Chahte Hain To
uske liye aapko website ya software ki madad leni Hogi game Banane se Pahale
aap ko Apne doston ya relative ko jo bhi game khelte Hain Unse Puche Ki kis
Tarah Ki Android game khelna pasand hai is se aap ko Unki Pasand ke bare mein
pata chal jayega ki Unhe Kis Tarah Ki game khelna pasand hai.
Lekin aapko kisi game ka copy nahin karna hai bus aapko use
game ke interface ke bare mein Janna Hota Hai aur game aap ko Apne hisab se
Idea Lekar banana Hota Hai Jitna achha Idea lagayenge utna hi accha game Banega
To Aayi Jante Hain Android game kaise banaye.
Android game banane ka tarika
Android game ya computer game banane ke liye aapko
programming language ka Aana bahut Jaruri Hota Hai.
Lekin aaj kal bahut sari website hai Jin ki madad se aap
apna khud ka Android game bana sakte hain bahut sari popular website Hai Un
mein se sabse best hai appsgeyser is website ki madad se aap apna khud ka
mobile game bana sakte hain.
Android game kaise banaye?
Android game banane ke liye Neeche Bataye Gaye process ko
follow Karen.
Sabse pahle aap ko Apne computer mein appsgeyser website ko
open karna hoga.
Is website par visit karne ke baad aapko bahut Sare option
Dikhai Denge aapko in mein se game maker wale option per click karna hoga.
Uske baad apko apni categories select Karni Hogi aap jis
category Mein Android game banana Chahte Hain Use select Karen.
Uske baad find the pair game detail show Hogi use next karna
hoga.
Uske baad aapko kuch setting Karni Hogi Jaise background
image, logo image Uske bad Naam yeh sari details dene ke bad next per click
Karen.
Uske baad aapko game ka naam enter karna hai jo new hona
chahiye aur pahle Kisi Ne Rakha Hua Nahin Hona chahie aur uske bad next per
click Karen.
Uske baad aapko game ka description Dena hoga.
Aur uske bad create button par click Karen.
Uske baad aapko register karne ka option Dikhai Dega wahan
par aapko apna email id password De Na Hoga Uske bad term and condition ke
checkbox per click karna hoga aur sign up karna hoga.
Uske baad aapke email Par Ek verification email aa jayega
use verify karna hoga.
Uske baad aap appgeyser account successfully create ho
jayega aap go to your dashboard per click Karen.
Uske baad aap appgeyser ke dashboard par pahunch Jayenge aur
aap ko wahan par game ka icon aur Naam Dikhaye Dega agar aap apne game ko
download karna chahte hain to aap download button par click Karke use download
kar sakte hain.
Game Banakar paise Kaise kamaye?
Appgeyser se bani game se paise bhi Kama sakte hain agar aap
apna accha Sa game Bana liya hai aur aap usse paise Kamana Chahte Hain To uske
liye aapko Apne app ko monetise karna hoga matlab aapko Apne APP Mein internet
par Jo game Chalte Hain Uske Neeche add hota hai Usi Tarik ad Lagana Hoga Jis
Se aap paise Kama sakte hain ad Lagane ke liye aap ko admob par sign up karna
Hota Hai.
To Is Tarah Se aap khud ka Android game bana sakte hain.
Is article Mein Humne Dekha “Android game kaise banaye”
aur Android game banane ka tarika Agar aapka is article se related Koi Sawal
hai to aap Hamein Neeche comment box Mein pooch sakte hain.
Is article ko aap apne doston ke sath social media par share
kar sakte hain. Taki yeh Jankari unko bhi pata chal sake aapko yeah article
kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein comment Karke Jarur Bataye.
Agar aap Hamari website ke updates Pana Chahte Hain To aap
Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain.
Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.
Android game kaise banate hain? Android game banane ka tarika?
Reviewed by JALINDAR ALHAT
on
April 25, 2019
Rating:
