Wi-Fi ka password Kaise change Kare? Wi-Fi ka password change Karne Ka Tarika


Wi-Fi ka password Kaise change Kare? Wi-Fi ka password change Karne Ka Tarika




Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare is post Mein Dosto Aaj ki is post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hain “Wi-Fi ka password Kaise change Kare” agar aap bhi Apne Wi-Fi ka password change karna chahte hain to aap bilkul sahi post padh rahe hain.

 
Wi-Fi ka password Kaise change Kare? Wi-Fi ka password change Karne Ka Tarika
Wi-Fi ka password Kaise change Kare? Wi-Fi ka password change Karne Ka Tarika

Apne Wi-Fi ka password change karne ke liye is post ko Shuru Se Lekar end Tak pura padhe taki aapko aur Jankari acche se samajh Aaye.



Agar aapne Koi router kharida hai aur uska password change karna chahte hain aur aap ko nahi pata ki Wi-Fi ka password Kaise change kare ya Wi-Fi password change Karne Ka Tarika kya hai to aap is post ko Shuru Se Lekar end Tak Pade Kyunki hum aap ko batane Wale Hain Wi-Fi ka password Kaise change kare.



Agar aap ke Wi-Fi ka password bahut Sare logo ko pata chal gaya hai ya aap ka Wi-Fi password hack ho gaya hai to aap ko Apne Wi-Fi ka password change karna jaruri hai to Jante Hain Wi-Fi ka password Kaise change kare.



Wi-Fi ka password Kaise change kare?




Wi-Fi ka password change karne ke liye aapko Neeche Bataye Gaye process ko follow karna hoga.



Sabse pahle aap apne mobile ki setting khole.



Uske baad aapko wireless and networks mein personal hotspot ko kholna hai.



Uske baad setup Wi-Fi hotspot par click karna hai.



Uske baad aapko apne mobile ka hotspot name aur password Dikhai Dega aap eye button par click Karke Apne password dekh sakte hain ya change kar sakte hai.



Uske baad naya password enter Karke ok button par click Karen uske baad aapka password change ho jaega.



Computer mein Wi-Fi ka password Kaise change Kare




Apne computer mein Wi-Fi ka password change karne ke liye Neeche Bataye Gaye process ko follow kare.



Sabse pahle aap ko modem Ke Piche IP address likha Hoga use Apne browser mein search karna hoga.



uske baad aap apni modem ke account me login Ho Jayenge.



Uske baad ek page khulega usme wireless par click karna hai.



Click karne ke bad Jo page khulega usme aap ko wireless security per click karna hoga.



Uske baad aapko pre shared key ke option Mein password change karna hai Fir apply per click karna hai ab aapki computer mein Wi-Fi ka password change Ho Gaya Hai Is Tarah Se aap apne computer ka Wi-Fi Badi aasani se change kar sakte hai.



Is article Mein Humne Dekha “Wi-Fi ka password Kaise change Kare” Agar aapka is article se related Koi Sawal hai to aap Hamein Neeche comment box Mein pooch sakte hain.



Is post ko aap apne doston ke sath social media par share kar sakte hain Taki yeh Jankari unko bhi pata chal sake aapko yeah article kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein comment Karke Jarur Bataye.



Agar aap Hamari website ke updates pana Chahte Hain To aap Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain. Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.

Wi-Fi ka password Kaise change Kare? Wi-Fi ka password change Karne Ka Tarika Wi-Fi ka password Kaise change Kare? Wi-Fi ka password change Karne Ka Tarika Reviewed by JALINDAR ALHAT on May 01, 2019 Rating: 5
Powered by Blogger.