ATM se mobile number Kaise change ya register Kare?


ATM se mobile number Kaise change ya register Kare?





Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare is post Mein Dosto aaj ki is post mein hum aapko batane wale hai. “ATM se mobile number Kaise register kare” ya change Kare agar aap bhi Janna Chahte Hain To aap bilkul sahi article padh rahe hain.

 
ATM se mobile number Kaise change ya register Kare?
ATM se mobile number Kaise change ya register Kare?

Is article mein aap apna bank balance check karna bhi sikhenge to is article ko Shuru Se Lekar end Tak pura pade taki aapko Har Jankari acche se samajh Aaye.



Kya aap bhi apna mobile number change karna chahte hain ya ATM balance enquiry karna chahte hain to is article dwara aap apna Bank mobile number change karne ki Puri Jankari Pa sakte hain.



Agar aapka account State Bank of India mein hai aur aap apna mobile number ko change karna chahte hain to aapko Bank Mein jaane ki jarurat nahi hai aur na hi apko form fill karne ki jarurat hai.



ATM machine ke dwara aap Bank ke bina line Mein Khade debit card se kuch Samay Mein apna mobile number change ya register kar sakte hain to Jante Hain apna mobile number Kaise register kare.



ATM se a mobile number Kaise register kare




Sabse pahle aap ko Neeche Bataye Gaye process ko follow karna hoga.



Sabse pahle aap ATM machine par Chale Aaye Aur ATM cards swipe Karen. Uske baad Aap Ke Samane Kuch option Dikhai Denge unme se mobile register par click Karen.



Uske baad Apne ATM ka pin number daale aur continue per click Karen.



Uske baad aap ke samne kuch option aaenge usme se aap mobile number register option per click Karen.



Uske baad Aap Ke Samne new registration ka option Dikhai dega new registration SBI account main number registration karne ke liye use select Karen.



Uske baad aapko number enter karna hai Pahle apna number enter Karen fir current ke option par click Karen.



Uske baad number Ko confirm karne ke liye phir se Usi Number Ko enter Karke confirm Karen.



Ab screen par aapko you have successfully update your mobile number aapko Dikhai dega aur aapke phone number Par Ek reference number receive hoga aur aap ko wahan par Bataye Jaega format Mein use reference number ko 567676 send karna hai.



ATM se mobile number change kaise kare




ATM se mobile number change karne ke liye Neeche Bataye Gaye process ko follow Karen.



Sabse pahle aapko apna ATM swipe karna hai.



Uske baad Aap Ke Samne bahut Sare option aaenge.



Unme se change mobile number per click Karen.



Uske baad Apna ATM ka pin number enter Karen aur continue par click Karen.



Ab Aap Ke Samne new mobile number enter karne ke liye Kaha Jayega.



Uske baad aapko mobile number confirm karne ke liye fir se mobile number enter karne ke liye Kaha Jayega.



To Is Tarah Se aap apna mobile number Badi aasani se change kar sakte hain.



ATM se balance check kaise kare



ATM se balance check karne ke liye Neeche Bataye Gaye process ko follow Kare.



Sabse pahle aap ATM machine par Jaaye aur Apna ATM card swipe Karen.



Uske baad aap ke samne kuch option aaenge aapko bank balance check karne ke liye balance enquiry option par click Karen.



Uske baad Apna ATM pin enter Karen.



Uske baad Apna account type select Karen saving aur current Agar aapka account saving hai to aap saving select Karen aur current hai to current se select Karen.



Is Tarah Se Badi aasani se aap apna bank balance check kar sakte.



Is article Mein Humne Dekha “ATM se mobile number Kaise register kare” agar aap is article se related Koi Sawal puchna Chahte Hain To aap Hamein Neeche comment box Mein pooch sakte hain.



Is article ko aap apne doston ke sath social media par share kar sakte hain Taki yeh Jankari unko bhi pata chal sake. aap Yah article kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein comment Karke Jarur Bataye.



Agar aap Hamari website ke updates Pana Chahte Hain To aap Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain. Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.
ATM se mobile number Kaise change ya register Kare? ATM se mobile number Kaise change ya register Kare? Reviewed by JALINDAR ALHAT on April 13, 2019 Rating: 5
Powered by Blogger.