OLX kya Hai? OLX par account kaise banaye?
OLX kya Hai? OLX par account kaise banaye?
Hello Dosto Swagat hai aapka Hamari is post Mein Dosto Aaj
ki is post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hain “OLX kya hai” agar aap bhi
OLX ke bare mein Jankari Jaana chahti hai to bilkul sahi post padh rahe hain.
OLX ke bare mein Sabhi Jankari jane ke liye is post ko Shuru
Se Lekar and Tak Pade Taki aap har Jankari acche se samajh Aaye.
Agar aap apna product online bechna chahte hain ya kuch
online kharidna Chahte Hain To Hum bahut sari website use karte hain lekin AB hum
aapko yesi website ke bare mein batayenge jisse aap Ghar Baithe koi bhi saaman
khareed sakte hain ya aasani se bhej sakte hain.
Ji haan dosto Hum baat kar rahe OLX ki is website par aap
apna Saman ko aasani se online bhej sakte hain ya koi bhi product aasani se
kharid sakte hain.
Agar aap apna koi bhi purana Saman bechna Chahte Hain To ab
aapko Badi aasani se aap OLX par bhej sakte hain.
OLX kya hai?
OLX Ek website hai jis ki madad se aap apne purani product
ko aasani se apne phone se bhej sakte hain.
Agar aap Koi product kharidna chahte hain to bhi aap OLX se
aasani se kar sakte hain.
OLX app kaise download Kare?
OLX app download karne ke liye aap ko Apne Google Play Store
par Jana Hoga aur wahan se OLX app download karna hoga.
Uske baad OLX app ko install Karen.
Uske baad is app ko aap use kar sakte hain.
OLX app main account kaise banaye?
OLX app main account banane ke liye Neeche Bataye process ko
follow Karen.
Sabse pahle aap ko olx.in is web site par Jana Hoga.
Uske baad aapko my account ka option Dikhai Dega us par
click karna hoga.
Uske baad aapko register karne ke liye registration ke
option par click karna hoga.
Uske baad apna phone number enter Karen.
Uske baad aapko OLX account ke liye password enter karna
hoga.
Uske baad aapko apna Naam likhna hoga.
Uske baad registration ke option par click karna hoga.
Uske baad aap ki email ID par Ek verification Mela aayega
aur usme activate account per click Karen ab aapka account activate ho jaega
aur aap uska use kar sakte.
OLX kaise use Kare?
Sabse pahle aap ko OLX app ko Apne phone mein kholna hai
uske baad submit free ad option Dikhai Dega us par click Karen.
Uske baad aapko details dalani Hogi Jisme aapko Apne product
ki puri details Bharni hai.
Uske baad aapko contact details dalni Hogi Jis Par customer
aapko contact kar sake.
Uske baad aapne jo mobile number dala hai us par Ek
verification code aayega us code ko enter Karke continue kar de.
Uske baad aap ki ad add live ho jayegi aur aapke product per
customer Aana Shuru hoyega.
OLX par kaise kharide?
Agar aap OLX par product kharidna Chahte Hain To uske liye
Neeche batayenge process ko follow Karen.
OLX se koi bhi product kharidne ke liye sabse pahle aap ko
Apne account mein login karna hoga.
Uske baad aap isme all India option Dikhai Dega us par click
Karke Apna shahar select Karen.
Uske baad aap ko kya kharidna hai wah select Karen aur
product se sambandhit Jankari aapke Samne Aa Jayegi.
To Is Tarah Se aap koi bhi product OLX se aasani se kharid
sakte hai ya online bhej sakte hain.
Is post Mein Humne Dekha “OLX kya hai” aur “OLX
main account kaise banaye” Agar aapka is post se related Koi Sawal hai to
aap Hamein Neeche comment Mein pooch sakte hain.
Is article ko aap apne doston ke sath social media par share
kar sakte hain. Taki yeh Jankari unko bhi pata chal sake. aapko yeah article
kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein comment Karke Jarur Bataye.
Agar aap Hamari website ke updates pana Chahte Hain To aap
Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain.
Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.
OLX kya Hai? OLX par account kaise banaye?
Reviewed by JALINDAR ALHAT
on
April 27, 2019
Rating: