Passport kya hota hai? passport Kaise banwaye?


Passport kya hota hai? passport Kaise banwaye?




Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare is post Mein Dosto aaj ki is post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hain. “passport kya hota hai” agar aap bhi passport ke bare mein Jankari Janna Chahte Hain To aap bilkul sahi article padh rahe ho.


Passport kya hota hai? passport Kaise banwaye?


Passport Kaise banwaye Agar Yaha bhi Jankari aap Janna Chahte Hain. To aap is post ko Shuru Se Lekar end Tak pura Pade Ta ki aapko Har Jankari acche se samajh Aaye.



Aapne passport ka naam to suna Hoga passport ka use Ek country se dusre country Mein jane ke liye Kiya jata hai without passport Ke Hum dusre country mein nahi ja Sakte dusre country Mein jane ke liye passport banwana bahut Jaruri Hota Hai.



Agar aap bhi apna passport banwa na Chahte Hain aur aap Nahi Jante ki passport kaise banaye to aaj hum aapko batayenge ki passport ke liye apply kaise kare aur passport banwane ke liye Kitna Paisa lagta hai. to Jante Hain Puri Jankari poori Jankari pane ke liye is post ko Shuru Se Lekar and Tak pura padhe Taki aapko aur Jankari acche se samajh Aaye.



Passport Kya Hota Hai




Passport apni Khud ki ek Pehchan hota hai jis ki madad se hamari ek Pehchan Banti Hai Hum Kis country se hai. Passport Mein Hamari e photos vyakti ka pura naam Pita ka naam date of birth aur signature Hote Hain.



Passport ke liye apply kaise kare




Passport ke liye apply karne ke liye aapko Neeche Bataye Gaye process ko follow karna hoga.



Sabse pahle aap ko www.passportindia.gov.in par Jana Hoga Yah India ki online password seva ki official website hai is site par jane ke bad Phir new user registration par click Kare.



New user registration




Sabse pahle aap ko passport kahan banwana hai waha Select karna hoga.



Uske baad Passport Office ki list mein Dekhi ki Shehar ke paas kaun sa Passport Kendra hai jisse select Karen.



Uske baad apna Name dalna hai uske baad surname ki option main Apna surname dalna hai.



Uske baad date of birth dalna hai.



Uske bad email id Dal aur agar aap Usi Gmail ID se login karna chahte hain to yes Karen.



Uske baad login Mein username likhe aur check availability per click Karen uske baad aapko username mil sakta hai ya nahi Agar nahi Mile To is yeh name a change Karen aur fir se check Karen.



Uske bad password Dale aur password yesa dale Jise aap aasani se Dhyan Mein Rakhe fir confirm password main Apna password confirm Karen.



Uske baad hint question Mein Koi Bhi question select Karen aur answer Aisa Ho Jo Chhota Ho.



Uske baad aapko jo character photo mein dikhaiye use Neeche bhare aur registration par click Karen.



Registration confirmation



Aap ka registration complete hone ke baad aapko Apne email id ke inbox mein jana hai inbox main aapko passport registration key email Hogi use kholen aur aur aap ko account ko activate link par click karna.



Uske baad aap passport ki website par Chale Jayenge wahan par aapko apni email id likhni hai jo aapne enter ki thi. Uske baad aapka account activate ho jaega login ke liye fir se home page par Chale Aaye www.passportindia.gov.in wahan par aapko existing user login se login karna hai aur form apply karna hai.



Apply for fresh passport



Login karne ke bad apply for fresh password per click Karen.



Uske baad Pehla option hai ki form Ko download Karen aur use fill up Karen fir se upload Karen.



Second option Mein bataya Gaya hoga click here to fill the application form online par click kare.



present residential address



Isme aap ko Apna state aur district flat karna hai aur next par click karna hai.



Passport type



Aapko Yahan Par fresh passport ke option par click karna hai.



Agar aapko passport urgent chahi to aap tatkal ka option select kar sakte hain lekin iske liye charges Jyada Dena hoga aap normal ko select Karen.



Uske baad booklet ke page ko select Karen.



Inme 3 option main aap pahle option ko select Karen aur ab next per click Karen.



Applicant details



Sabse pahle aap ko apna Name aur is surname likhna hai.



Gender likhe.



Uske baad aapko Kisi Anya Naam Se Bhi Bulaya jata hai ya nahin To Yahan Par No ka option ko select Karen.



Uske baad aap ko pucha Jayega ki aapne Apna Naam kabhi change kiya tha ya nahi Agar kiya hai to Yes kare Nahin to no Karen.



Uske baad date of birth enter Kare date of place agar aap India se bahar Janm Hua Hai To yes Kare Nahin to no per click Karen.



Uske bad state aur district ka naam likhe.



Next married ya unmarried select Karen.



Uske bad citizenship of India by birth likhe.



Agar voter id aur PAN Card hai to fill Kare Nahin To Kali rah ne De.



Uske baad apni job ke bare mein likhe.



Next Agar aapke ghar mein koi government job karta hai tu yes ya Nahin to no Karen.



Uske baad Apna education dale aapne Kaha tak education liya hai.



Uske baad non ECR (emigration check required) iska Arth Jisne 10th class pass kiya hai wah non ECR koye is Karen Nahi To Know per click Karen.



Uske baad save my details par click Karen aur next button per click Karen.



Ab Aap Ke Samne form aayega.



Family details



Ab isme father ka name likhe first and middle name likhe.



Uske baad aap ke father ka username likhe.



Uske bad mother ka name likhe first and middle name likhe.



Mother ka user name likhe.



Agar aapne form Mein pehle se Married likha hai tu hi aap spouse ka name bhare Nahin To option Kali Chod de.



Uske baad save my details per click Karen aur next per click Karen.



Present residential address



Yahan Par aapko Pucha Jayega ki aap India se bahar Rehte Hain Agar Nahi To no select Karen.



Ab aap Jahan rehte ho hua kab se rahe ho wah date likhe.



Uske baad house number village city state District likhe.



Uske baad aap ke najdiki police station ka naam bhare.



Usse Baat post office ka pin likhe.



Apna mobile number likhe.



Uske baad Apna email id likhe.



Uske baad aap se pooch raha hai ki aap Jaha Rehte Hain Wohi permanent address hai to yes Karen.



Uske baad save my details per click Karen next per click Karen.



Emergency contact



Uske baad aapko emergency contact ke liye Kisi ka naam dalna hoga aap apne father Ka Naam Ya Apne Kisi friend ka naam daal sakte hain uske baad mobile number Dale phone number daale aur email id bhi Dal sakte hain fir save my details per click Karen next par click kar de.



Reference



Reference main aapko do logo ki contact details dekhni hai jo aap ke liye gawaho ke twar par ho gaye jo ki Apne details De hai woh sahi hai.



Yahan Par aap Kisi Bhi Do logo ki details Dale jo aap ko jante ho details bharne ke bad save Kare aur next button par click Karen.



Previous details



Isme aap pahle option mein no select Kare Kyunki aap fresher passport ke liye apply kar rahe hain.



Agar aap ne Pahle Kabhi passport ke liye apply kiya ho aur aapko passport Na Mila Ho To yes per click Karen Nahin to no par click kar aur save details Karke next par click kare.



Other details



Yahan Par aapko kuch Sawal Puche Jayenge jine Dhyan se padh kar aapko answer dena hai Jaise agar aap ka police station Mein Koi criminal record nahi hai to aap sabhi ko no select Karen agar aap ne kbhi crime kya hai aur aap jail gaye ho to Sabhi Sawal achche se padh kar Uttar De aur fir next per click Karen.



Passport preview details



Yahan Par aap apni details Dekhe aur apni photo Lagaye aur signature ki photo upload kar sakte hain ab next click Karen.



Self declaration



Self declaration Mein place bhare fir I agree per click Karen agar aap Inki SMS service active karna chahte hain to yes per click Karen Jiske Liye aapko 35 rupees lagenge Nahin to no per click Karen



Preview application form par click Karke aap apni form ki details Dekh sakte hain aur print bhi le sakte hain.



Uske baad fir save my details per click Karen aur submit form per click Karen.



Pay and schedule appointment



Yahan Par aapko apna application number Mil Jayega fir aapko pay and schedule appointment per click karna hai.



Choose payment mode



Yahan Par aap online ya offline payment kar sakte hain.



Yadi aap online payment karna chahte hain to online payment per click Karen.



Appointment availability



Ab Yahan Par aapko Passport Office ke name dikhayega aur wahan se kis time appointment mil sakti hai vah dikhega.



Ab Yahan Par aapko Passport Office select karna hai aur capture Main Jo Likha Hai Hua usse Neeche bharna hai aur next button par click karna hai.



Pay and book appointment



Yahan Par pay and book appointment per click Karen.



Agar Apke Pas SBI ka ATM ya online banking hai to aap SBI set Karen aur Agar Kisi dusre Bank ka hai to Aadhar Card credit card select Karen.



Uske baad aapko date of birth aur mobile number enter karna hai aur confirm per click karna hai.



Uske baad Apne card ki details bhare aur pay kar de.



Agar aap apne account ki koi bhi details dekhna Chahte Hain To aap passport website ki homepage par jakar login Karen.



To Is Tarah Se Badi aasani se aap passport ke liye apply kar sakte hain to yadhi passport banane ke liye Jankari.



Passport document list in Hindi



Passport banane ke liye aapko kaun kaun si documents ki avashyakta padegi o Neeche Bataye gaye hain.



Voter ID card

Aadhar card

Water bill

PAN card



passport banane ke liye Kitna Paisa lagta hai



Passport banwane ke liye kam se kam 1500 - 2000 rupees Lagti Hai.



Passport banwane mein kitne din Lagte Hain



Yadi aap ke paas yeh mukhya document hai



Voter ID

Aadhar card

PAN card



Apradhik record na hone ka Affidavit


passport jaldi pane ke liye Jaruri Mana Gaya Hai jisse Ek Saptah ke andar aap ka passport check kar diya Jayega.



Is article Mein Humne Dekha “passport kya hai” aur “passport kaise banate hain” Agar aapka koi Sawal hai to aap Hamein Neeche comment box Mein pooch sakte hain.



Is article ko aap apne doston ke sath social media par share kar sakte hain. Taki jankari unko bhi pata chal sake. aapko yeah article kaisa laga aap Hamein Neeche comment box Mein Jarur Bataye.



Agar aap Hamari website ke updates pana Chahte Hain. To aap Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain. Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.


Passport kya hota hai? passport Kaise banwaye? Passport kya hota hai? passport Kaise banwaye? Reviewed by JALINDAR ALHAT on April 02, 2019 Rating: 5
Powered by Blogger.