Digilocker kya hai? digilocker me document Kaise upload Kare?
Digilocker kya hai? digilocker me document Kaise upload Kare?
Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare is post Mein Dosto Aaj
ki is post Mein Hum Aap Ko batane Wale Hai “Digiloker kya hai” agar aap
bhi digilock kar ke bare mein Jankari Janna Chahte Hain To aap bilkul sahi post
padh rahe hain.
Digilocker main account kaise banaye Iske bare mein Jankari
jane ke liye is post ko Shuru Se Lekar and Tak pura pata ki aapko Har Jankari
acche se samajh Aaye.
Agar aap Bahar Kahin ja rahe hain to aapko Apne Paas pehchan
Patra Rakhna Jaruri hota hai Jaise election card, pan card, Aadhar card lekin
Jab Hamare pehchan Patra Kahi Kho Jata Hai To Hame bahut sari pareshani hoti
hai.
Nikhil Aisa Ho Jayegi aap ke documents aap ke saath le jane
ki jarurat na Pade aur aapke paas Har Samay Rahe Kitna accha hoga ji ha Dosto yeh
bilkul Sach Hai aap apne document Apne Paas Rakh sakte hain vah bhi digilocker
ki madad se.
Digilocker main aap apne documents rakh sakte hain lekin aap
Nahi Jante ki digilocker kya hai aur digilock par account kaise banaye to Aap
Hamare post ko pura padh sakte hain Kyunki hum aap ko batane Wale Hain
digilocker Kya hai aur digilocker par account kaise banaye.
Digilocker kya hai?
Digilocker government dwara di gi ek service Hai jis ki
madad se aap apne document ki ek softcopy apne mobile mein store kar sakte hain.
Jitni Manyata hard copy ko di Jati Hai uTani hi Manyata
government dwara softcopy ko bhi De Gayi Hai isme aap apne important document
aur certificate ko digital form Mein save kar sakte hain.
Digilocker kaise download Kare?
Digilocker par Apne documents upload karne ke liye aap ko
sabse pahle DigiLocker download karna hoga to Jante hain digilocker kaise
download Karen.
Sabse pahle aap aap apne Play Store par chale Jaaye aur
wahan par search box main type Karen Digi locker application aur Wahan Se
download Karen.
Uske baad install Kare install hone ke bad is application ko
khole.
Uske baad aap is application ka use aasani se kar sakte
hain.
Digilocker sign up kaise kare?
Digilocker sign up karne ke liye Neeche Bataye Gaye process
ko follow Karen.
Sabse pahle aap apne mobile me digilocker app ko khole.
Uske baad aapko signup button Dikhai Dega use par click
Karen.
Uske baad apna mobile number enter Karen.
Uske baad aap ke mobile number Par Ek OTP aayega use enter
kare.
Uske baad Aap Ke Samne username or password enter karne ke
liye aayega use enter Karen.
Uske baad aap ko Aadhar number add karna hai.
To Is Tarah Se aap digilocker account bana sakte hain aur
use use kar sakte hain.
Digilocker me document Kaise upload Kare?
Digilocker Me Apne documents upload karna bahut hi Aasan hai
aap bahut hi Aasan tarike se kar sakte hain.
Sabse pahle aap apne mobile me is app ko khole.
Uske baad aapko dashboard par left side mein upload document
ka option Dikhai Dega is par click Karen.
Uske baad aapko folder aur upload ka option Dikhai dega use
per click Karen.
Agar Kisi file ko aap folder mein Rakhna Chahte Hain To
pahle folder par click Karen bad Mein upload Karen.
Is Tarah Se aap digilocker Me Apne documents aasani se
upload kar sakte hain aur use use kar sakte hain.
Digilocker ke fayde
Digilocker ke fayde bhi bahut Sare Hain Jin ke bare mein hum
aapko aage batate hain.
Agar aap apni Koi important document Bhool Jate Hain To
aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai.
digilocker mein aapke documents Kabhi kharab Nahin Honge.
Aap apne document kisi ko bhi share kar sakte hain.
Is article Mein Humne Dekha “digilocker kya hota hai”
aur Digilakar ke fayde kya kya hai agar aapka is article se related Koi Sawal
hai to aap Hamein Neeche comment box Mein pooch sakte hain.
Is post ko aap apne doston ke sath social media par share
kar sakte hain. Taki yeh Jankari unko bhi pata chal sake. aapko yeh post kaisa
laga aap Hamein Neeche comment box Mein comment Karke Jarur Bataye.
Agar aap Hamari website ke updates pana chahte hain to aap
Hamari website “onlinehelp2019” ko subscribe ya follow kar sakte hain.
Apna bahumulya Samay dene ke liye aapka bahut bahut dhanyavad.
Digilocker kya hai? digilocker me document Kaise upload Kare?
Reviewed by JALINDAR ALHAT
on
May 01, 2019
Rating: